Top YouTube Tips In Hindi

 

top youtube tipsAaj ham youtube ke Top YouTube Tips ke bare me batayege . Aaj Kal YouTube par video dekhne ka trend chal raha hai. Kisi ko bhi kisi bhi subject se related help chahiye hoti hai to wah jakar direct YouTube par search karta hai aur YouTube se video dekh kar apni jankari prapt karta hai. YouTube par rojana millions video upload aur download Kiye Jate Hain. Millions veiwsers videos dekhte hain aur apni jankari prapt Karte Hain.

YouTube Ek Aisa search engine hai, jo  world me Google  k baad doosre number par Aata Hai. isliye Aaj Kal YouTube par bahut jyada videos upload kiye Jane Lage Hain agar aap bhi YouTube par videos dekhte hain ya upload Karte Hain. To Aap Ke Liye Aaj Hum Kuch Aise YouTube Tips and tricks Lekar Aaye Hain. Jeenke ke baare mein Shayad aap ko nahi pata hoga. To Chaliye Aaj hum aapko In YouTube Tips ke baare mein batate hain.

Popular topic for videos Kaise search kare:

agar aap Kisi  popular subject par videos search karna chahte hain, to aap us topic ke aage # Laga kar search kare. To Isase search engine aap ko Aise channel search Karke  dega. Jaha especially  is topic par videos uplabdh Honge.

Jaise Mujhe  Shri Narendra Modi Jee ke baare mein search karna hai to mai “# Narendra Modi”   ke Naam Se search karunga.

YouTube par koi  videos kaise download kare:

Yadi aap ko koi video Jyada Pasand aa gaya hai. Aur aap ise Apne Paas Sahej kar Rakhna Chahte Hain, To aap Top YouTube Tips se Us video go directly download nahi kar sakte hain. iske liye aap ko Kisi software ki madad Lena hoga.

lekin main  aap ko batata hoon, ki aap kaise hain bina kisi software ke YouTube se video download karte hain.

download karne ke liye aap Ko Bas Ek chota sa kaam karna hai. aapko YouTube video link ke aage SS laga dena hai  aur  aapko enter kar dena hai.

bina kisi software ke YouTube se video download kaise karte hain.click here

bina internet paytm use kare

facebook par game request block kare

Isase aap  dusri website par Jayenge aur  yahan se aap video download kar sakte hain.

YouTube videos  GFI  video  banaye:

  Agar aapko koi video Pasand aa gaya hai. aur usko Apne friends k sath share karna chahte hain. to  usaki GIF  video online Banakar Apne friends ko WhatsApp Jaise messenger share kar sakte hain. iske liye aap ko kuch process karni padegi.

step 1:  Apne YouTube ke us video  ko select kare Jiski aapko GIF  video banani hai. iske URL me Youtube ko Hata karGIF Laga kar inter  kare. Aap Ek Doosre website par pahunche Jayenge.

step 2:  Yahan Par aap ko video ka vo  Hissa  select karna hai Jiska  GFI  video banana hai .

Step 3:  Ab  aap ko creat  GIF  Par click karna hai.

Ab apki  video Taiyaara Hai Aap se download karke share kar sakte Hain.

mix and match:

Yadi  aap Koi song  remix karna chahte hain, to aap ko Yahan Par bahut Sare option Mil Jayenge. aap simple Dragon tab website for Jakhar Kisi bhi song Ko remix kar sakte hain aap Yahan YouTube videos ko bhi remix kar sakte hain .

YouTube  Autoplay play to disable kare:

aap YouTube par  videos Dekhte HonGaye. To Aap Ne Dekha hoga Ki Jaise hai aapka ek video Khatam Hota Hai, Doosra video automatic play hone lagta hai. chahe aap ushe dekhna chahte ho ya nahi.  Phir Bhi yeah play ho jata hai. aisa isliye hota hai Kyunki aapke setting me autoplay on Hota Hai. Aap isko Off Karke , autoplay ko band kar sakte hain.

YouTube player keyboard shortcuts:

YouTube par aap bahut Sare videos dekhate honge. lekin kya aapko YouTube videos ko play karne ke kuch shortcuts pata hai. Nahi ,To Hum aapke liye kuch shortcuts Lekar Aaye Hain. In shortcuts ka aap YouTube par play hone wale videos ke liye use kar sakte hai.

download app

M= Video ko  mute karne ke liye.

K/ space bar=  PAUSE/ play karne ke liye.

L= 10 second video fast forward karne ke liye.

J= 10 second video co rewind karne ke liye.

ARROW KEYS=   in  keys   se  aap 4-5  second aage ya Piche aap apni videos cook kar sakte hain.

To  Yeh tha Hamara YouTube  K kuch Aasan tips Agar aapko Yeh article Pasand Aaya Ho Yeh Kisi Prakar ka aap Sujhao Dena Chahte Hain To aap hame comment box Me comment kar sakte hain.

अनूप कुमार वैश्य
अनूप कुमार वैश्य
अनूप कुमार टेक यू हेल्प के संस्थापक हैं। वह मानव व्यवहार और समाज का अध्ययन करने के जुनून के साथ अत्यधिक प्रेरित व्यक्ति हैं। उन्होंने 2015 में कानपुर विश्वविद्यालय से समाजशास्त्र में मास्टर ऑफ आर्ट्स की डिग्री प्राप्त की है। पढ़ाई के दौरान, अनूप कुमार ने सामाजिक संरचनाओं और व्यक्तिगत अनुभवों को आकार देने के तरीकों की गहरी समझ विकसित की।
WordPress List - Subscription Form
Never miss an update!
Be the first to receive the latest blog post directly to your inbox. 🙂

Comments (7)

Leave a Comment