Blog ko Index Kaise Kare-Search Engine Me Jaldi Kaise Laye

Hello Friends, aaj hum ek aise topic par bat karne ja rahe hai. Jo aapke blog ki post ke liye bahut important hai.Aap jab bhi post likhate honge to aapki post search engine jaldi  index nahi kar pata hai. Aap apne blog ko search engine me jaldi index kaise kar sakte hai. Aap is post ko read karke jaan sakte hai.

Blog ko Index Kaise Kare-Search Engine Me Jaldi Kaise Laye

Index Kaise

Ham sab achche se blog  banate hai , aur ham post likhate hai . Aur  wo post publish kar dete hai. Lekin hamare post  google search engine me nahi aati hai. Kyonki search engine post ko jaldi se index nahi kar pata hai. Hamari post google search engine me aane me 1 – 2 din lag jate hai. Kabh kabhi isase jyada bhi samay lag jata hai. Aur ham pareshan ho jate hai, ki hamari post kyu search engine nahi aa rahi hai. Aaj hum aapko batane wala he ki aapke  blog ki post ko google search engine me sirf 1 minute me index kaise kar sakte hai. Eske liye me aaapko kuch aasan tarike batane ja raha hu.

download app

Blog Post Ko Index Kaise Kare:

Google web master (google search console) me Fatch as google ek tool hai. Jisaka kam  hamari post ko index karna hota hai.  Is tool ki madad se Blogger dekh sakate hai ki jab google hamare post ko crawl karega tab hamare post google search engine me kaise dikhai deti hai.

 

Fatch as google ka use post lo jaldise index karane ke liye bhi kiya jata hai. Chalo aaj mai aapko batata hu ki aap apni post ko search engine me jaldi index kaise kar sakte hai . Me aapko kuch aise tips batane wala hu jin tips ko  aap follow karake aapani post google serch engine me jaldi index kar sakate hai.

Google Search Me Apni Post Jaldi Kaise Laye:

Blog ko Index Kaise Kare Search

    1. Sabase pehale google webmaster sign in kare.
    2. Agar aapne apnni website ko google webmaster me aad nahi kiya hai to add kara le. Website add karene ke bad verify kar le.
    3. Aap apne  blog ko select kare jisaki post ko aap  summit karana chahate  hai.
    4. Site dashboard ke crawl par click kare ke usko expand kare or usmese hame fatch as Google option choose karake usape click karana hai.
    5. Ab hamare samane ek page open hoga jisame  hame fetch as goggle option dikhai padega.
    6. Hamare samne ek text box open hoga jisake starting me hamare domain nam ke sath shuru ho raha hai.
    7. Ab hame us text box me hame jo blog post ki  url  ko submit karana hai jise hame google search engine me index karana hai.
    8.  Hame blog post ki url se hamre domain ka nam nikal dena hai kyoki wo strating me diya hai hame bas post ka hi nam rakhana hai.
    9. Ab hame side me ek dropdown menu dikhe dega usme se hame koi ek option choose karake uspe click karana hi jaise ki deskstop, mobile smartphone etc.
    10.  Ab fetch button par click kare.
    11. Uske bad popup window open hogi jisame do option hoge usme se hame crawl only this url  select karake go button par click kar dena hai.
    12. Ab aapki blog post ki url google index submit hogaya hai. Kuch hi time me aapko aapki blog post ki url google  search engine me dikahe degi.

 

Aasha karta hu ki apko ye article accha laga hoga. Agar aapko ye post achhi lagi ho to Apne dosto ke sath share jaroor kare. Aur sath koi sawal ho to aap hame comment box me comment kar sakte hai.

अनूप कुमार वैश्य
अनूप कुमार वैश्य
अनूप कुमार टेक यू हेल्प के संस्थापक हैं। वह मानव व्यवहार और समाज का अध्ययन करने के जुनून के साथ अत्यधिक प्रेरित व्यक्ति हैं। उन्होंने 2015 में कानपुर विश्वविद्यालय से समाजशास्त्र में मास्टर ऑफ आर्ट्स की डिग्री प्राप्त की है। पढ़ाई के दौरान, अनूप कुमार ने सामाजिक संरचनाओं और व्यक्तिगत अनुभवों को आकार देने के तरीकों की गहरी समझ विकसित की।
WordPress List - Subscription Form
Never miss an update!
Be the first to receive the latest blog post directly to your inbox. 🙂

Comments (9)

Leave a Comment