MOST IMPORTANT COMPUTER SECURITY TIPS IN HINDI

COMPUTER SECURITY TIPS
COMPUTER SECURITY TIPS

MOST IMPORTANT COMPUTER SECURITY TIPS IN HINDI:

Ham sabhi rozana hacking, softwares, malwares, viruses, ke bare me sunate aur read karte hai. Isliye ham yaha par kuch Computer Security tips batane ja raha hu. Jisase apka PC/laptop hacker, malware aur different viruses se safe rahe. aur aapko kisi prakar ki problem ka samna na karna pade.

COMPUTER SECURITY TIPS-

1) USE A FIREWALL

firewall ek aisa software system jo aapke pc me internet se outgoing and incoming connections handle karta hai. Yah ek bahut hi basic aur simple soft hai. Yah use karne me bahut hi simple hai. Iske liye aapko koi extra knowledge ki jarurat nahi hai. Yah ek free aur windows operating system me default taur par rahta hai. Isliye aapko kisi software ko bhi install nahi karna hai. Mai aapse yahi kahunga ki aapko firewall security ko aap apne pc ke liye use jarur kare.

download app

2) USE ANTIVIRUS

Aapko apne pc me koi na koi ANTIVIRUS install karna chahiye. Aaj kal bahut free aur paid ANTIVIRUS market me majood hai. Agar aap paid use karna chahte hai, to paid ANTIVIRUS us kare. Aur agar paid use nahi kar sakte to free ANTIVIRUS use kare. Aur agar koi ANTIVIRUS use kar rahe hai. To use time to time update jarur karte rahe. Kyonki har update me koi na koi security khamiyon ko remove kiya jata hai. Isliye hamesha ANTIVIRUS up to date rakhna chahiye.

3) UPDATING SOFTWARE SYSTEM:

ANTIVIRUS ke sath ho sath aapko hamesha software system ko bhi up to date rakhna chahiye. Kyonki naye update me koi na koi bugg thik kiya jata hai. Isase apko use karne me bhi achha lagega . Aur sath me hacker bhi aap ki security ko break nahi kar payenge. Aur aapki privacy secur rahegi.

4) USE COMPLICATED PASSWORDS

Gernally sabhi Users ek simple sa password use karte hai. Jise ham aasani se yaad rakh sake . Lekin simple password bahut jaldi break ho sakta hai. Market me bahut aise software majood hai.jo aapke password ko aasani se hack kar sakte hai. Isliye aapko ek complicated password use karna chahiye. Aapko hamesha kam se kam 8 character ka password use karna chahiye. Sath me aapke password me kam se kam ek upper letter, ek small letter, aur ek special characters ya symbol hona chahiye. Is tarah se jo password aapka taiyar hoga ho bahut hi strong hoga. Jise hack karna asan nahi hai.

5) USE TOTALLY DIFFERENT PASSWORDS

Most common mistake ye hai, ki user jyadatar ek hi password bar jagah use karte hai. ha ek bat hai ki bahut sare password yaad rakhna easy nahi hai. lekin aapko koshis yahi karni chahiye ki aap sadaiv deferent password use kare. aur ha deferent password ke chakkar me kabhi bhi apna password kahi likh kar nahi rakhe.

6) ALWAYS BEWARE:

Internet use karte time aapko hamesha satark rahna chahiye. aap kabhi bhi har cheez ko transfer na kare. Aur na hi har cheez ko apne pc ya laptop me install kare . Hamesha apko koi bhi cheez download ya install karne se pahle uske source ko check karna chahiye. Aur untrust site se hamesha door rahana chahiye.

To dosto ye the kuch security tips jo maine aapke shath share kiye yadi aap bhi hamare sath kuch share karenge to mujhe kushi hogi.

अनूप कुमार वैश्य
अनूप कुमार वैश्य
अनूप कुमार टेक यू हेल्प के संस्थापक हैं। वह मानव व्यवहार और समाज का अध्ययन करने के जुनून के साथ अत्यधिक प्रेरित व्यक्ति हैं। उन्होंने 2015 में कानपुर विश्वविद्यालय से समाजशास्त्र में मास्टर ऑफ आर्ट्स की डिग्री प्राप्त की है। पढ़ाई के दौरान, अनूप कुमार ने सामाजिक संरचनाओं और व्यक्तिगत अनुभवों को आकार देने के तरीकों की गहरी समझ विकसित की।
WordPress List - Subscription Form
Never miss an update!
Be the first to receive the latest blog post directly to your inbox. 🙂